sangin nahin ki taj-mahal marmarin nahin
kya zalzale ka dev bhi zer-e-zamin nahin
vo din ga.e ki hote the murghan-e-tar-navaz
ab kaun hai chaman men jo ghuncha-nashin nahin
kis ka karishma hai ye tanavvo nigah ka
aisa nahin koi jo kisi ka hasin nahin
ta.aviz mol laa.e hain salosiyan se ham
as.hab-e-e’tiqad hain sahab-yaqin nahin
chhup-chhup ke vo bhi meri taraf dekhta hai kyuun
insha ki tarah main to koi naznin nahin
murghan-e-ham-safir ki umren daraz hon
meri bhi ik nava hai nava-e-navin nahin
ai ishq sab ko hai tiri yurish ka intizar
jo jo qalam-raven tire zer-e-nagin nahin
Leave a Reply