kafan jab si rahe the log mera
mujhe lagta tha lahnga ban raha hai
hamare saans honge dukh ka salan
hamara dil jo chulha ban raha hai
tiri maujudgi hai be-ma.ani
tira hona na hona ban raha hai
miri har raat nindon se ḳhafa hai
mira har ḳhvab katba ban raha hai
vo apni qadr ab khone laga hai
vo ab tole se masha ban raha hai
falak juuḌe tale rakkha hua hai
sitaron se pranda ban raha hai
hamare shahr ka ahval mat puchh
hamara shahr kuufa ban raha hai
Leave a Reply