kyuun karte ho e’tibar mera
maalum hai tum ko pyaar mera
ye khair hai aaj kuchh to kahiye
kyuun zikr hai baar baar mera
ik baat men faisla hai tum se
ranjida hai dil hazar mera
tera nahin e’tibar mujh ko
tu bhi na kar e’tibar mera
shayad ki na ho tum apne bas ke
dil par to hai ikhtiyar mera
mujh ko na ho rashk ghair-mumkin
tu aur ho dost-dar mera
kuchh samjhe hue hain apne dil men
sunte nahin hal-e-zar mera
vo haae bigad ke us ka jaana
rona vahin zar-zar mera
kal tak to ‘nizam’ ye na tha haal
dil aaj hai be-qarar mera
Leave a Reply