ba-in gudaz ajab rang ka bayan hota
koi raqib jo apne bhi darmiyan hota
jhuka hua hai jo sar aaj tere qadmon par
agar na vaqt bigaḌta to astan hota
har ek rah pe ga.e aur ye bhulte hi ga.e
vo ek naqsh-e-qadam tha kahan kahan hota
tire nisar dil-e-ghair-mutma.in pe na ja
use jo ishq bhi milta to imtihan hota
liya na va.ada-e-didar jaan kar varna
phir intizar ka yaara hamen kahan hota
koi to rang-e-suḳhan de ki log kahte hain
lagi thi aag to kuchh aag ka nishan hota
tiri nazar ke talatum men rah gaya varna
mira bhi naam tajammul-husain-ḳhan hota
akele tum hi to is shahr men nahin ‘ali’
bura hi tha jo vo tum sa hi nukta-dan hota
Leave a Reply