• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Raston Se Ishq-E-Kaamil Hota Hai

Jab Raston Se Ishq-E-Kaamil Hota Hai

poet

jab raston se ishq-e-kamil hota hai

tab banda nazdik-e-manzil hota hai

hamdardi hai dil men to phir raah dikha

bas tanqidon se kya hasil hota hai

haq ki baten us ki samajh men aati hain

jis bande ke siine men dil hota hai

rishton se samjhauta karna paḌta hai

varna kaun kisi ke qabil hota hai

hairat hai vo jis ko ham se rabt nahin

dil bhi us ki janib maa.il hota hai

aaj kahan insaf ka mandir milta hai

aaj kahan qaazi hi aadil hota hai

ḳhud se to namrud nahin banta koi

asal men puura shahar hi babul hota hai

ham ko to hansne ki aadat hai varna

muskanon men dard bhi shamil hota hai

‘haidar’ dil men basne vaala hi aksar

dil ke armanon ka qatil hota hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Narm Phulon Se Kabhi Khaar Se Lag Jate Hain

allama-iqbal

Saqi-Nama

Tujhko Likhna Hai to Aisa Koi Safha Likh De

poet

Ashk-E-Gham Shorish-E-Pinhan Ki KHabar Dete Hain

Hai Safar Mein Karwan-E-Bahr-O-Bar Kis Ke Liye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet