dhuup sa u kapul naari hai
kiran suraj ki vo kanari hai
chhup raqiban suun aana nahin vo chand
kya rain hijr ki andiyari hai
nahin asar karta sabr ka marham
dil-e-ashiq men zakhm kaari hai
gul-e-bagh-e-junun hai rusvai
izzat-e-mulk-e-ishq khvari hai
khun-e-dil bada-o-jigar hai kabab
naghma-e-bazm-e-vasl zaari hai
laila majnun ka zikr sard hua
ab tumhari hamari baari hai
milna ashiq suun hi bahane suun
ye nasihat tuman hamari hai
mujh kuun mat jaano yaad suun ghafil
raat din dil kuun lau tumari hai
dil bandha sakht teri zulfan par
aql ‘faez’ ki un bisari hai
Leave a Reply