sabaq umr ka ya zamane ka hai
sab amokhta bhuul jaane ka hai
ye gum hote chehre ye manzar ye gard
saman raat din yaan se jaane ka hai
ruke hain ki tuk dekh len soch len
tavaqquf takalluf bahane ka hai
ye sadiyon ka mohkam munazzam sukut
tilism ek chutki bajane ka hai
mahak saans sabza-e-qabr ki
kinaya sa jaise bulane ka hai
vazahat na qurbat ki kiije talab
ki ye silsila duur jaane ka hai
qafas men mire zehan ke muztarib
ye tinka tire ashiyane ka hai
alag ik kahani sa lagta idhar
tasalsul udhar ke fasane ka hai
gae din samajhne parakhne ke ‘saz’
ye mausam to bas maan jaane ka hai
Leave a Reply