• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaj To Be-Sabab Udas Hai Ji

Aaj To Be-Sabab Udas Hai Ji

nasir-kazmi

aaj to be-sabab udaas hai ji

ishq hota to koi baat bhi thi

jalta phirta huun main dopahron men

jaane kya chiiz kho gai meri

vahin phirta huun main bhi khak-basar

is bhare shahr men hai ek gali

chhupta phirta hai ishq duniya se

phailti ja rahi hai rusvai

ham-nashin kya kahun ki vo kya hai

chhod ye baat niind udne lagi

aaj to vo bhi kuchh khamosh sa tha

main ne bhi us se koi baat na ki

ek dam us ke hont chuum liye

ye mujhe baithe baithe kya sujhi

ek dam us ka haath chhod diya

jaane kya baat darmiyan aai

tu jo itna udaas hai ‘nasir’

tujhe kya ho gaya bata to sahi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

duniya Mein Suragh-E-Rah-E-duniya Nahin Milta

poet

Wo Jo Kuchh Kuchh Nigah Milane Lage

abroo-shah-mubarak

Hua Hun dil Seti Banda Piya Ki Mehrbani Ka

poet

Zulf Zanjir-E-Pa Hui Jab Se

poet

Gaya Ab Aaftab-E-Hashr Ka Bhi Jalwa-Gar Hona

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet