
Poet
gar ishq hai to dekhne piv ko shitab aa
la-shak ho haq ki rah men chala be-hijab aa
us husn-e-be-nazir ke darsan ko dekhne
sab ḳhanuman suun ho ke apas ke ḳharab aa
dariya men dil ke ishq suun hone ke ta.iin muhit
ḳhali ho sab ḳhudi suun nikal juun habab aa
kya dekhta hai surat-e-ḳhurshid aur chandr
har ik nazar men dekh hazar aftab aa
har-dam ‘alim’ dil ke nazar ko diya hai taab
apne karam suun qibla-e-vala janab aa

Leave a Reply