hava ke paas bas ik taziyana hota hai
isi se shahr o shajar ko Darana hota hai
vo saari baten main ahbab hi se kahta huun
mujhe harif ko jo kuchh sunana hota hai
munafiqon men shab-o-roz bhi guzarta huun
aur un ki zad se bhi ḳhud ko bachana hota hai
kitab-e-umr bhari ja rahi hai lekin kyuun
na koi lafz na chehra purana hota hai
vahan bhi mujh ko ḳhuda sar-buland rakhta hai
jahan saron ko jhuka.e zamana hota hai
Leave a Reply