nahin ki ham ne kabhi hal-e-soz-e-jan na kaha
magar ba-hila-e-ara.ish-e-bayan na kaha
koi ḳhata na hui jis ki ye mile padash
magar yahi ki zaminon ko asman na kaha
jis anjuman se hua qissa-e-junun aghaz
vahin kabhi na kaha go kahan kahan na kaha
ye ehtiram-e-ta.alluq ye ehtiyat to dekh
ki zindagi ko kabhi ham ne ra.egan na kaha
tire karam ko karam hi kaha sitam ko sitam
zahe ḳhulus-e-tamanna ki imtihan na kaha
hazar ḳhushk raha apni zindagi ka chaman
tiri bahar ko lekin kabhi ḳhizan na kaha
hamen bhi nudrat-e-uslub thi aziiz magar
unhen jahan hi pukara gham-e-jahan na kaha
Leave a Reply