hon jo saare dast o pa hain khuun main nahlae hue
ham bhi hain ai dil baharan ki qasam khaae hue
khabt hai ai ham-nashin aql-e-harifan-e-bahar
hai khizan in ki inhen aina dikhlae hue
kya hai zikr-e-atish-o-ahan ki gaddaran-e-gul
marte hain haath angaron pe ghabrae hue
zindagi ki qadr sikhi shukriya tegh-e-sitam
haan hamen the kal talak jiine se uktae hue
sair-e-sahil kar chuke ai mauj-e-sahil sar na maar
tujh se kya bahlenge tufanon ke bahlae hue
hai yahi ik karobar-e-naghma-o-masti ki ham
ya zamin par ya sar-e-aflak hain chhae hue
saaz uthaya jab to garmate phire zarron ke dil
jaam haath aaya to mahr o mah ke ham-sae hue
dasht o dar banne ko hain ‘majruh’ maidan-e-bahar
aa rahi hai fasl-e-gul parcham ko lahrae hue
Leave a Reply