• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Kis Ne Kaha Tum Kuch Karo Baaten Na Banao Insha-Ji

Ye Kis Ne Kaha Tum Kuch Karo Baaten Na Banao Insha-Ji

ye kis ne kaha tum kuuch karo baten na banao insha-ji

ye shahr tumhara apna hai ise chhoḌ na jaao insha-ji

jitne bhi yahan ke baasi hain sab ke sab tum se pyaar karen

kya un se bhi munh pheroge ye zulm na Dhaao insha-ji

kya soch ke tum ne sinchi thi ye kesar kyari chahat ki

tum jin ko hansane aa.e the un ko na rulao insha-ji

tum laakh siyahat ke ho dhani ik baat hamari bhi maano

koi ja ke jahan se aata nahin us des na jaao insha-ji

bikhrate ho sona harfon ka tum chandi jaise kaghaz par

phir in men apne zaḳhmon ka mat zahr milao insha-ji

ik raat to kya vo hashr talak rakkhegi khula darvaze ko

kab lauT ke tum ghar aaoge sajni ko batao insha-ji

nahin sirf ‘qatil’ ki baat yahan kahin ‘sahir’ hai kahin ‘ali’ hai

tum apne purane yaron se daman na chuḌao insha-ji

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sarwat-zehra

Khaali Khaali Raston Pe Be-Karan Udasi Hai

Kar Len Samjhauta Sabhi Aaj Ke Haalat Se Ab

Andar to KHayalon Ke Ho Aae KHayal Apna

Kuchh Is Tarah Se Tasawwur Mein Aa Raha Hai Koi

poet

Dil taDap Kar Bahal Gaya Shayad

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet