• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apni KHata Ko Isne Mere Nam Likh Diya

Apni KHata Ko Isne Mere Nam Likh Diya

apni ḳhata ko is ne mire naam likh diya

us par kamal ye ki sar-e-am likh diya

andhon ke darmiyan rahun aa.ina misal

mere liye ḳhuda ne ajab kaam likh diya

naraz hai vo mujh se bas itni si baat par

tira-shabi ko din na likha shaam likh diya

kuchh ban paḌa na hasrat-e-tamir se to phir

ujḌe hue khanDar ko dar-o-bam likh diya

jab tirgi baḌhegi to chamkega aur bhi

dil ke lahu se ham ne tira naam likh diya

kahte hain kis ko sabr-o-tahammul ye ham se puchh

taklif jo mili use aram likh diya

ye bhi hua ki jis ne ujaḌe the ghar ke ghar

munsif ne us ko la.eq-e-in.am likh diya

chahi thi main ne jis ki bhala.i tamam umr

us ne miri duaon ko dushnam likh diya

koi to baat hogi ki ahl-e-nigah ne

jitne samar the puḳhta unhen ḳhaam likh diya

ab vasta paḌa hai to ‘mahir’ khula ye raaz

patthar badan ko ham ne gul-andam likh diya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tabibo Chaaragaro Tum Se Jo Hua so Hua

Roz-E-Raushan Ko Shab-E-Tar Na Kahna Aaya

Kitne Mele Hain Aasmanon Mein

abbas-tabish

Hansne Nahin deta Kabhi Rone Nahin deta

Na Ham-Nawa Mere Zauq-E-KHiram Ka Nikla

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet