• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tumhaare Pas Rahen Hum to Maut Bhi Kya Hai

Tumhaare Pas Rahen Hum to Maut Bhi Kya Hai

tumhare paas rahen ham to maut bhi kya hai

magar jo duur kaTe tum se zindagi kya hai

jab uTh ke chal diye tum tirgi umaD aa.i

jo tum na ho to charaghon ki raushni kya hai

kuchh aise phuul bhi guzre hain meri nazron se

jo khil ke bhi na samajh paa.e zindagi kya hai

bas un ki yaad ke ham paanv chuum lete hain

hamen ḳhabar nahin meraj-e-bandagi kya hai

kabhi jo gosh-bar-avaz ho ke us ko suno

tumhen pata bhi chale saz-e-ḳhamushi kya hai

miri nigah ne kya kya na ḳhvab dekhe hain

tiri nigah ne ik baat si kahi kya hai

hamin ne zulmat-e-hasti men dil jala.e hain

ye ham samajhte hain darman-e-tirgi kya hai

ubhar rahi hai jo rah rah ke dil ki dhaḌkan men

vo aarzu hai ki hai us ki bebasi kya hai

ḳhizan-nasib hon nazren jo ahl-e-gulshan ki

to phir bahar ke jalvon ki tazgi kya hai

jahan men ye kabhi majbur hai kabhi muḳhtar

hai ek sho.abada ‘azad’ aadmi kya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shahryar

Jahan Main Hone Ko Ai dost Yun To Sab Hoga

dagh-dehlvi

dil-E-Nakaam Ke Hain Kaam Kharab

poet

Tere Mizhgan Ki Faujen Bandh Kar Saf Jab Huin Khadiyan

naseem-syed

Ek Ek Aarzu Sadqe Mein Utari Jae

Sheikh Saadi

Story 39 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet