Tujhse Qarib-Tar Teri Tanhaiyon Mein Hun

tujh se qarīb-tar tirī tanhā.iyoñ meñ huuñ

dhaḌkan huuñ tere qalb kī gahrā.iyoñ meñ huuñ

dukh hai ki terī zaat meñ shāmil thā maiñ kabhī

aur aaj tere jism kī parchhā.iyoñ meñ huuñ

ḳhud-bīñ na ban baġhaur zarā aa.ina to dekh

maiñ bhī to tere husn kī ra.anā.iyoñ meñ huuñ

laTkā huuñ maiñ salīb pe har ahd kī tarah

is jurm par ki vaqt kī sachchā.iyoñ meñ huuñ

jab se girā huuñ us kī nigāhoñ se ai ‘zafar’

har bazm meñ haqīr huuñ rusvā.iyoñ meñ huuñ

Leave a Comment