• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaho Farar Se Bandhe Na Panw Mein Aankhen

Kaho Farar Se Bandhe Na Panw Mein Aankhen

kaho farar se bandhe na paanv men ankhen

qadam qadam pe bichhi hain dishaon men ankhen

na jaane kaun si hogi talash ki manzil

bhaTak rahi hain abhi tak ḳhalaon men ankhen

karah uTThi thi sargoshi koi chupke se

lagi thi Thes ki ug aa.iin paanv men ankhen

parinde ab nahin manzar guzarne vaale

hazar ḳhvab saja.en fazaon men ankhen

paha.diyan hui irfan-e-agahi se bahar

jo mo.atakif huiin andhi guphaon men ankhen

bikharte shahron ke manzar inhen dikhao bhi

umiid se hain bahut ab ke gaanv men ankhen

faza-nashin hai tezab raushni ‘parvez’

nikalte Darti hain ab to havaon men ankhen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

allama-iqbal

Tera Tan Ruh Se Na-Ashna Hai

muneer-niyazi

dil Ko Haal-E-Qarar Mein dekha

Haram Ka Aaina Barson Se Dhundla Bhi Hai Hairan Bhi

Apne Bojh Se TuT Raha Hun

Hain Meri Parwaz Ke Tewar Nae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet