tire karam se khudai men yuun to kya na mila
magar jo tu na mila ziist ka maza na mila
hayat-e-shauq ki ye garmiyan kahan hotin
khuda ka shukr hamen nala-e-rasa na mila
azal se fitrat-e-azad hi thi avara
ye kyuun kahen ki hamen koi rahnuma na mila
ye kaenat kisi ka ghubar-e-rah sahi
dalil-e-rah jo banta vo naqsh-e-pa na mila
ye dil shahid-e-fareb-nigah ho na saka
vo laakh ham se ba-andaz-e-mahramana mila
kanar-e-mauj men marna to ham ko aata hai
nishan-e-sahil-e-ulfat mila mila na mila
tiri talash hi thi maya-e-baqa-e-vajud
bala se ham ko sar-e-manzil-e-baqa na mila
Leave a Reply