• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nigah-E-Naz Teri Jab Se Karsaz Nahin

Nigah-E-Naz Teri Jab Se Karsaz Nahin

nigah-e-naz tiri jab se karsaz nahin

jigar men dard nahin qalb men gudaz nahin

nafas nahin koi aisa ki jan-gudaz nahin

ye mera ishq hai zahid tiri namaz nahin

jise farishton se qudrat chhupa ke rakhti hai

sharab-ḳhane men vo raaz koi raaz nahin

havas ki zindagi-e-javedan pe la.anat hai

bala se umr-e-mohabbat agar daraz nahin

ta.alluqat mohabbat ki jaan hoti hai

vo ik nigah ba-zahir jo dil-navaz nahin

tiri jafaon pe hai naaz jis qadar mujh ko

mujhe vafaon pe bhi apni itna naaz nahin

agar kisi ki mohabbat men koi raaz na ho

to phir kisi ki mohabbat to koi raaz nahin

nigah bhi jurm kabhi jurm-e-be-nigahi bhi

kisi usuul pe vo jalva-gah-e-naz nahin

main be-niyaz sahi tum se bhi mohabbat main

magar tumhari mohabbat se be-niyaz nahin

tum apne husn ki kha kar qasam mukar jaao

agar tumhari mohabbat ko mujh pe naaz nahin

kal un ke jalvon pe tha mera iḳhtiyar-e-nazar

aur aaj apni nazar ka bhi men majaz nahin

nigah-e-naz ke allah re ye ghalat andaz

koi ye samjhe abhi un ko mashq-e-naz nahin

suna.i deti hai mahsus jan-o-dil ho kar

vo ik sada jo hanuz ashna-e-saz nahin

tumhari bazm ki ye dost-dariyan tauba

kisi se jaise kisi ko kuchh ehtiraz nahin

khula hua hai vo bab-e-qubul-e-mai-ḳhana

agar nahin dar-e-tauba bala se baaz nahin

tiri ada-e-taghaful ki jaan se zalim

vo ik ada tiri jis par tujhe bhi naaz nahin

ab apne jalvon ka lillah ehtiram muaaf

nigah-e-shauq ko ab tab-e-imtiyaz nahin

dobara kis se mili ishq ki nigah-e-garm

zamana-soz hai ‘bismil’ zamana-saz nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Le Kar Koi Paigham Kabutar Nahin Aate

wali-mohammad-wali

Muflisi Sab Bahaar Khoti Hai

Tere Wadon Ka Etibar Kise

Koi to Shakl Mohabbat Mein Sazgar Aae

KHwab Aankhon Mein Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet