laakh dil ne pukarna chaha
main ne phir bhi tumhen nahin roka
tum miri vahshaton ke sathi the
koi asan tha tumhen khona?
tum mira dard kya samajh paate
tum ne to sher tak nahin samjha
kya kisi ḳhvab ki talafi hai?
aankh ki dhajjiyon ka uḌ jaana
is se rahat kashid kar!! din raat
dard ne mustaqil nahin rahna
aap ke mashvaron pe chalna hai?
achchha suniye main saans le luun kyaa?
ḳhvab men amrita ye kahti thi
in se koi sila nahin beTa
dekh tezab se jale chehre
ham hain aise samaj ka hissa
laḌkhaḌana nahin mujhe phir bhi
tum mira haath thaam kar rakhna
varisan-e-gham-o-alam hain ham
ham saloni kitab ka qissa
sun miri bad-guman pari!! sun to
har koi bheḌiya nahin hota
Leave a Reply