• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gila to Aap Se Hai Aur Be-Sabab Bhi Nahin

Gila to Aap Se Hai Aur Be-Sabab Bhi Nahin

gila to aap se hai aur be-sabab bhi nahin

magar irada-e-iz.har zer-e-lab bhi nahin

main chahta huun ki apni zaban se kuchh na kahun

main saf-go huun magar itna be-adab bhi nahin

jafa ki tarah mujhe tark-e-dosti bhi qubul

malal jab bhi na tha mujh ko aur ab bhi nahin

guzar gaya vo talabgariyon ka daur ba-ḳhair

ḳhuda ka shukr hai kab fursat-talab bhi nahin

mizaj-e-vaqt se tang aa chuka hai mera zamir

mire usuul badal jaa.en to ajab bhi nahin

ga.e dinon ka fasana hai ab hamara vajud

vo muflisi bhi nahin hai vo roz-o-shab bhi nahin

javab dunga main kuchh mujh se puchh kar dekho

abhi main hosh men huun aisa jan-ba-lab bhi nahin

hasab-nasab ki jo puchho to shajara pesh karun

ḳhitab koi nahin hai mira laqab bhi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jab kaDi Dhup Se Qadmon Mein Thakan Aati Hai

Fida Allah Ki KHilqat Pe Jis Ka Jism O Jaan Hoga

poet

Begana Bana Deta Hai Andaz-E-Bayan Aur

Hashr Tak Yan Dil Shakeba Chahiye

poet

Ilahi Koi Hawa Ka Jhonka dikha de Chehra Uda Ke Aanchal

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet