hikayat-e-husn-e-yar likhna hadis-e-mina-o-jam kahna
abhi vahi kar-e-ashiqan hai sukut-e-gham ka kalam kahna
ufuq taghayyur ki tez lau se pighal raha hai badal raha hai
magar is ahval-e-vaqa.i ko likhen na vo mere naam kahna
hazar hathon se main ne jis ko sambhal rakkha tha zindagi men
charagh-bar-kaf bisat-e-dil par khaḌi hui hai vo shaam kahna
agar tiri astin-e-tar ko ḳhabar nahin dastan-e-gham ki
zamana unvan-e-taza-tar se suna gaya na-tamam kahna
dhoven men ik ta.ir-e-nava-gar ne atish-e-gul pe jaan de di
rag-e-gulu men jali hui lai chamak ga.i zer-e-dam kahna
ham aise jada-taraz-e-sahra nikal hi aate hain chand aḳhir
suḳhan ko uslub-e-zindagi ka diya hai ham ne hi naam kahna
kabhi kabhi to lahak sa uThta hai barq-o-baran ki chashmakon men
kisi ada-e-visal-saman ka ḳhanjar-e-be-niyam kahna
utar gaya dil men zahr-e-kakul nisar ik sarv-e-dil-satan ke
fusun-e-chara-gari se guzra mohabbaton ka payam kahna
ḳhayal-e-yaran-e-ku-ba-ku se nazar hai ik matam-e-nazara
dam-e-harifan-e-be-subu se nafas hai be-nang-o-nam kahna
abhi to kuchh log zindagi men hazar sayon ka ik shajar hain
unhin ke sayon men qafile kuchh Thahar ga.e be-qayam kahna
ḳhuda tujhe afiyat ki abadiyon men nauras safir rakkhe
udhar ke divar-o-dar salamat miri taraf se salam kahna
Leave a Reply