tum hamen ek din dasht men chhoḌ kar chal diye the tumhen kya ḳhabar ya aḳhi
kitne mausam lage hain hamare badan par nikalne men ye bal-o-par ya aḳhi
shab-gazida dayaron ke naqa-savaron men mahtab-chehra tumhara na tha
ḳhaak men mil ga.e raah takte hue sab ḳhamida kamar bam-o-dar ya aḳhi
jang ka faisla ho chuka hai to phir mere dil ki kamin-gah men kaun hai
ik shaqi kaTta hai tanaben mire ḳhema-e-ḳhvab ki raat bhar ya aḳhi
ye bhi achchha hua tum is ashob se apne sarsabz baazu bacha le ga.e
yuun bhi ku-e-ziyan men lagana hi tha ham ko apne lahu ka shajar ya aḳhi
nahr is shahr ki bhi bahut mehrban hai magar apna rahvar mat rokna
hijraton ke muqaddar men baaqi nahin ab koi qarya-e-mo’tabar ya aḳhi
zard patton ke ThanDe badan apne hathon pe le kar hava ne shajar se kaha
agle mausam men tujh par na.e barg-o-bar a.enge tab talak sabr kar ya aḳhi
Leave a Reply