jo un men ho raha hai vo tamasha bhi nahin dikhta
hua kya hai un ankhon ko jo itna bhi nahin dikhta
tire parda-nashin hone men to hairat hi kya lekin
tu jis parde men pinhan hai vo parda bhi nahin dikhta
ye kaise alam-e-tira-shabi men aa gaya huun main
yahan to koi jugnu se shanasa bhi nahin dikhta
ḳhuda ko dekh kar manun ye zid bhi ḳhuub hai lekin
in ankhon ko zarurat se ziyada bhi nahin dikhta
Leave a Reply