ek tamasha aur dikhaya ja sakta tha
mujh ko zinda bhi dafnaya ja sakta tha
chiḌiyon ki avaz na kanon tak aa sakti
ghar men itna shor machaya ja sakta tha
jab tak barf pighalti ya barkha rut aati
dariya aur bhi kaam men laaya ja sakta tha
tum ne apna rasta ḳhud roka tha varna
tum jab aana chahte aaya ja sakta tha
chhoTi chhoTi ḳhushiyan banTi ja sakti thiin
hanste hanste gham apnaya ja sakta tha
kitna hi masruf tha phir bhi apni ḳhatir
thoḌa sa to vaqt bachaya ja sakta tha
jitne vaqt men tum ne ghar abad kiya hai
utne vaqt men shahr basaya ja sakta tha
gardan men bal aana hi tha phir bhi ‘saifi’
bojh zara sa aur uThaya ja sakta tha
Leave a Reply