asiran-e-qafas sehn-e-chaman ko yaad karte hain
bhala bulbul pe yuun bhi zulm ai sayyad karte hain
kamar ka tere jis dam naqsh ham ijad karte hain
to jaan farman aa kar maani o bahzad karte hain
pas-e-murdan to rahne de zamin par ai saba mujh ko
ki mitti khaksaron ki nahin barbad karte hain
dam-e-raftar aati hai sada pazeb se teri
lahad ke khastagan uttho masiha yaad karte hain
qafas men ab to ai sayyad apna dil tadapta hai
bahar aai hai murghan-e-chaman fariyad karte hain
bata de ai nasim-e-subh shayad mar gaya majnun
ye kis ke phuul uthte hain jo gul fariyad karte hain
masal sach hai bashar ki qadar neamat baad hoti hai
suna hai aaj tak ham ko bahut vo yaad karte hain
lagaya baghban ne zakhm-e-kari dil pe bulbul ke
gareban-chak ghunche hain to gul fariyad karte hain
‘rasa’ aage na likh ab haal apni be-qarari ka
ba-rang-e-ghuncha-lab mazmun tire fariyad karte hain
Leave a Reply