kya karen kyun-kar rahen duniya men yaaro ham khushi
ham ko rahne hi nahin deta hai hargiz gham khushi
ham to apne dard aur gham men nipat mahzuz hain
ham ko kya is baat se rahta hai gar aalam khushi
ai azizo is khushi ko kui khushi nahin pahunchti
ashiq aur maashuq jab hote hain mil baham khushi
ai falak jis jis tarah ka gham tu chahe mujh ko de
main kabhi nalan na huun hargiz rahun har dam khushi
yaar hai mai hai chaman hai kyuun na ham khush-vaqt hon
is tarah ki hogi ai ‘taban’ kisi ko kam khushi
Leave a Reply