ham-rang laghari se huun gul ki shamim ka
tufan-e-bad hai mujhe jhonka nasim ka
chhoda na kuchh bhi siine men tughyan-e-ashk ne
apni hi fauj ho gai lashkar ghanim ka
yaran-e-nau ke vaste mujh se khafa hue
tum ko nahin hai paas niyaz-e-qadim ka
yaad aai kafiron ko miri ah-e-sard ki
kyunki na kanpne lage shola jahim ka
az-bas-ki sabt-e-nama hai soz-e-tap-e-darun
qasid ka haath hai yad-e-baiza kalim ka
vaaiz kabhi hila nahin ku-e-sanam se main
kya janun kya hai martaba arsh-e-azim ka
maara hai vasl-e-ghair ke shikve pe chahiye
madfan juda juda miri lash-e-do-nim ka
kahta hai baat baat pe kyuun jaan kha gae
goya ki pak gaya hai kaleja nadim ka
vaaiz buton ko khuld men le jaenge kahin
hai vaada kafiron se azab-e-alim ka
‘momin’ tujhe to vahb hai momin hi vo nahin
jo mo’taqid nahin tiri tab-e-salim ka
Leave a Reply