
Poet
putliyon par tire chehre ko banaya hua hai
samne aankh ke yuun tujh ko sajaya hua hai
dar-o-divar-e-tamaddun ko giraya jis ne
haa.e vo hashr hamara hi uThaya hua hai
apni parvaz pe nazan jo uḌa phirta hai
vo parinda bhi hamara hi uḌaya hua hai
do-ghaḌi aankh laga lo karo ehsan un par
tum ne ḳhvabon ko ka.i din se jagaya hua hai
zor TuTega hava ka to kahan ja.ega
jis ghubare ko fazaon men uḌaya hua hai
mere chille ki riyazat ka samar dekh zara
apne ham-zad ko pahlu men biThaya hua hai

Leave a Reply