sahar qarib hai ḳhalvat mahak rahi hogi
sharab saghar-e-gham se chhalak rahi hogi
vo baat tark-e-ta.alluq ka jo sabab Thahri
vo baat tark-e-ta.alluq ka jo sabab Thahri
vo baat ḳhud tire dil men khaTak rahi hogi
ye ujli shaam mahakte hue ye sannaTe
vo apne munh ko dupaTTe se Dhak rahi hogi
main sub.h-o-sham guzarta tha jis se be-maqsad
vo raah ab bhi miri raah tak rahi hogi
qalam hai sadiyon se masruf husn-kari men
sahar men teri ada bhi jhalak rahi hogi
ye baat alag hai main rahon ki justuju men huun
miri talash men manzil bhaTak rahi hogi
‘hayat’ phir mahak uThi hai yaad maazi ki
hamare gaanv men phir fasl pak rahi hogi
Leave a Reply