har aaine men tira hi dhuan dikhai diya
mira vajud hi mujh ko kahan dikhai diya
ye kaisi dhuup ke mausam men ghar se nikla huun
ki har parinda mujhe saeban dikhai diya
main apni lahr men lipta hua samundar huun
main kya karun jo tira badban dikhai diya
kaha hi tha ki salam ai imam-e-ali-maqam
hamari pyaas ko ab-e-ravan dikhai diya
miri nazar to khalaon ne bandh rakkhi thi
mujhe zamin se kahan asman dikhai diya
Leave a Reply