• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Sab din Ek Jaise Nahin Hote

Sab din Ek Jaise Nahin Hote

azra-abbas

sab din ek jaise nahin hote

kal ka din to aisa nahin tha

jaisa aaj ka hai

har din apni apni gupha men

chhupa

jab savere savere

ham se samna karta hai

to kahta hai

aaj ka din guzaro to janen

aur ham

kamar-basta ho jaate hain

aaj ke din ke guzarne ko

vo din ham guzar lete hain

aur ham is guzre hue

din ko

pichhe palat kar dekhte hain

suraj ke saath

dubte

andhere men munh chhupate

bahut thonk kar aaya tha

khud ko

jaise hamen ye din guzarne na dega

aur gidgidaenge ham

us ke samne

aur apni gardan jo ham hamesha

akdi rakhte hain

us ke samne jhuka denge

aur apni ankhen

phati phati kar ke us ke samne iltija karenge

ki aaj ka din vaisa hi guzre

jaisa

ek din guzara tha

jaise ham kabhi nahin bhulte

bhale se

saare din aise vaise guzarte rahen

ham nahin jhukaenge apni

gardan

aur laga denge is men

hamesha ke liye

cluff

jo us ke samne hamen

jhukne nahin dega

bhale vo din kitna hi bura guzre

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Qarib Hi Mahtab Dekh Sakta Tha

poet

Chaha Jinko Bhi Zindagi Ki Tarah

asrarul-haq-majaz

Khiraj-Aqidat

poet

Girne Ka Bahut dar Hai Ai dil Na Phisal Jaana

Gham-E-Jaanan Ki KHabar Lati Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet