zamin se ta-falak chha.i hui hai raushni-e-la
ye saara shahr hai meri nazar men aankh ka dhoka
samundar men nadi ban kar utar ja.un kahan tak main
nigal ja.ega paani ek din saara badan mera
ugal degi zamin sab aag ik din apne andar ki
rakhe kab tak bhala ye bojh siine par pahaḌon ka
nagar ko log khulta sa ik a.ina samajhte the
magar mujh ko nazar aaya koi chehra na apna sa
use men DhunDhta tha raat ki gahri ḳhamoshi men
na jaane kis tarah phir shahr men mera hua charcha
Leave a Reply