tire zauq-e-bandagi ka rahe mo’tarif zamana
use sajda kar ke ‘nudrat’ kabhi hosh men na aana
vo sujud-e-shauq-e-paiham vo kisi ka astana
vahi DhunDhti hain ankhen jo guzar gaya zamana
tire saath main haram men tire saath but-kade men
na kahin qarar tujh ko na kahin mira Thikana
main use ada karunga jo hai farz-e-ishq mujh par
magar apne ahd-o-paiman kahin tum na bhuul jaana
ye chaman ki dil-farebi ye mushahide ki duniya
ye gulon men rang ban kar tire husn ka samana
ye ada-e-dil-shikan bhi mujhe hai ummid-afza
mira hal-e-gham sunana tira sun ke muskurana
mujhe daad de na kyunkar miri himmat-e-asiri
ki tamam umr samjha main qafas ko ashiyana
ba-juz is ke kuchh nahin hai miri zindagi ka hasil
tira dard dil men rakhna tire gham se lutf uThana
vahin asman se ‘nudrat’ gire barq ik achanak
jo karun main ye tasavvur ki qafas hai ashiyana
Leave a Reply