kho ja.un musht-e-ḳhak men aisa nahin huun main
dariya huun apni zaat men qatra nahin huun main
guzrunga jis jagah se nishan chhoḌ ja.unga
andhi huun apne vaqt ki jhonka nahin huun main
manzil se ye kaho ki kare mera intizar
Thahra hua zarur huun bhaTka nahin huun main
puchhi hai ḳhat men aap ne jo ḳhairiyat miri
kaise likhun janab ki achchha nahin huun main
ḳhushbu tire badan ki mire saath saath hai
kah de koi havaon se tanha nahin huun main
husn-o-shabab saghar-o-mina the samne
lekin kisi bhi shab kahin Thahra nahin huun main
de kar khilaune mujh ko jo bahla rahe hain log
‘ejaz’ un se kah do ki bachcha nahin huun main
Leave a Reply