kya kahun kab dhuan nahin uThta
mujh se apna ziyan nahin uThta
bhinchte rahte hain dar-o-divar
aur dil se makan nahin uThta
aabru thaam thaam leti hai
haath varna kahan nahin uThta
uThti jaati hain saari ummiden
ḳhadsha-e-jism-o-jan nahin uThta
haath uThte rahe hain mujh par ‘shah’
mujh se bar-e-zaban nahin uThta
Leave a Reply