ham dekhte hain un ki taraf baar baar kyuun
apni nazar pe ham ko nahin iḳhtiyar kyuun
vo mujh se puchhte hain ki ho be-qarar kyuun
main un se puchhta huun ki ho trahdar kyuun
dariya baha rahi tu ai chashm-e-zar kyuun
dam bhar bhi TuTta nahin ashkon ka taar kyuun
tum mujh pe Dha rahe ho sitam baar baar kyuun
aḳhir rula rahe ho mujhe zaar zaar kyuun
pazhmurda hote jaate hain gulha-e-dagh-e-dil
aati nahin chaman men hamare bahar kyuun
kya phunk kar rahegi mire ashiyane ko
bijli lapak rahi hai idhar baar baar kyuun
va.ada hi va.ada tha na vo aa.e na a.enge
ai chashm-e-arzu hai tujhe intizar kyuun
apni nazar se puchhiye hal-e-dil-e-hazin
be-iḳhtiyar kyuun hai nahin iḳhtiyar kyuun
jab teri rahmaton ka nahin hai koi shumar
isyan ka mere hota hai yarab shumar kyuun
kya hain kisi ke gesu-e-mushkin khule hue
hai gulshan-e-jahan ki faza itr-bar kyuun
apni tarah mujhe bhi karegi tamam kya
taḌpa rahi hai mujh ko shab-e-intizar kyuun
hain yuun to trahdar zamane men aur bhi
lekin hai aap hi pe zamana nisar kyuun
zaḳhmi hain donon kya tire tir-e-nigah ke
dil men ḳhalish hai aur jigar dagh-dar kyuun
‘sabir’ ki zindagi men to puchha na aap ne
marne ke ba.ad puchh rahe hain mazar kyuun
Leave a Reply