tauba ka takalluf kaun kare halat ki niyyat thiik nahin
rahmat ka irada bigda hai barsat ki niyyat thiik nahin
ai shama bachana daman ko ismat se mohabbat arzan hai
aluda-nazar parvanon ke jazbat ki niyyat thiik nahin
kal qata taalluq kar lena is vaqt to duniya meri hai
ye raat ki qasmen jhuti hain ye raat ki niyyat thiik nahin
aisa nazar aata hai jaise ye shai mujhe pagal kar degi
thodi si tavajjoh bar-haq hai bohtat ki niyyat thiik nahin
raftar-e-zamana ka lahja saffak dikhai deta hai
bar-vaqt koi tadbir karo afat ki niyyat thiik nahin
mai-khane ki rasm-o-rah men bhi ho jaae na shamil khot kahen
khuddam fareb-amada hain khidmat ki niyyat thiik nahin
thoda sa kada gar dil ko karun adat badal to sakti hain
par asl musibat to ye hai adat ki niyyat thiik nahin
darta huun ‘adam’ phir aaj kahin shoala na uthe bijli na gire
barbat ki tabiat uljhi hai naghmat ki niyyat thiik nahin
Leave a Reply