zindagi hi zindagi charon taraf hai
aankh ho to raushni charon taraf hai
kya zamin kya asman kya dasht-o-dariya
aadmi ki bartari charon taraf hai
ek markaz par Thaharta hi nahin hai
zehn ki avargi charon taraf hai
dekhiye to hai ujala hi ujala
sochiye to tirgi charon taraf hai
aankh se ojhal tira chehra hai lekin
ik alamat si tiri charon taraf hai
kuchh na kuchh hai aj-kal men hone vaala
ik mukammal ḳhamushi charon taraf hai
chhoḌ kar jaate ho ghar ‘ma.asum’ sahab
soch lo duniya yahi charon taraf hai
Leave a Reply