hijr ki raat chhoḌ jaati hai
nit-na.i baat chhoḌ jaati hai
ishq chalta hai ta-abad lekin
zindagi saath chhoḌ jaati hai
dil bayabani saath rakhta hai
aankh barsat chhoḌ jaati hai
chaah ki ik ḳhususiyat hai ki ye
mustaqil maat chhoḌ jaati hai
marhale is tarah ke bhi hain ki jab
zaat ko zaat chhoḌ jaati hai
hijr ka koi na koi pahlu
har mulaqat chhoḌ jaati hai
Leave a Reply