bigaḌ jaate the sun kar yaad hai kuchh vo zamana bhi
koi karta tha jab meri shikayat gha.ebana bhi
vo jis par mehrban hote hain duniya us ki hoti hai
nazar un ki palaTte hi palaTta hai zamana bhi
suna karta huun ta.ane hijr men kya kya raqibon ke
bana huun is mohabbat men malamat ka nishana bhi
yahan bhi farz hai zahid adab se sar jhuka lena
mire nazdik ka.aba hai kisi ka astana bhi
fareb-e-dam men laa.i hai kuchh sayyad ki ḳhatir
qafas men khinch kar laaya hamen kuchh ab-o-dana bhi
jala kar dil mira sayyad ka ThanDa kaleja kar
kahin ai barq jaldi phunk mera ashiyana bhi
bigaḌte der hoti hai na bante der hoti hai
mizaj-e-yar se kuchh milta-julta hai zamana bhi
hasin paḌh kar ghazal meri mire mushtaq hote hain
musaḳhḳhar dil ko karta hai kalam-e-ashiqana bhi
na bhulegi hafiz ahbab ko ye sarguzisht apni
jahan men yaad rah ja.ega kuchh apna fasana bhi
Leave a Reply