qarar dil ko sada jis ke naam se aaya
vo aaya bhi to kisi aur kaam se aaya
kisi ne puchha nahin lauTte hue mujh se
main aaj kaise bhala ghar men shaam se aaya
ham aise be-hunaron men hai jo saliqa-e-zist
tire dayar men pal-bhar qayam se aaya
jo asman ki bulandi ko chhune vaala tha
vahi minara zamin par dhaḌam se aaya
main ḳhali haath hi ja pahuncha us ki mahfil men
mira raqib baḌe intizam se aaya
Leave a Reply