in ki jab nukta-vari yaad aa.i
apni hi be-ḳhabari yaad aa.i
yaad aa.i bhi to yuun ahd-e-vafa
aah ki be-asari yaad aa.i
aaj kyuun un ko ba-aghosh-e-raqib
meri hi ham-asari yaad aa.i
dil ne phir vaqt se laḌna chaha
phir vahi dard-bhari yaad aa.i
apna siina hua raushan to unhen
husn ki kam-nazari yaad aa.i
jab bhi dhyan aaya kahin manzil ka
raah ki shab-basari yaad aa.i
kis ko hasil hai dimagh-e-nala
be-sabab be-hunari yaad aa.i
dekh kar be-dili-e-shauq ka rang
apni ashufta-sari yaad aa.i
us pe kya guzri jo is aalam men
phuul ko jama-dari yaad aa.i
baagh ka haal vo dekha hai ‘nazar’
shaḳh thi jo bhi hari yaad aa.i
Leave a Reply