haivan ki manzil men bashar hai ki nahin hai
insan ko insan ka Dar hai ki nahin hai
me.ar-e-tajalli se to vaqif hain nigahen
jalvon ko bhi andaz-e-nazar hai ki nahin hai
farzana-e-dauran bhi hai is baat pe ḳhamosh
divana sar-e-rahguzar hai ki nahin hai
jis azm se manzil pe pahunchte hain musafir
vo azm ba-in zauq-e-safar hai ki nahin hai
be-saḳhta manzil ki taraf bhagne vaalo
raftar-e-zamana ki ḳhabar hai ki nahin hai
rangini-e-aghaz-e-baharan ke asiro
anjam-e-baharan pe nazar hai ki nahin hai
na-qadri-e-afkar ke is daur-e-falak men
maa.il ba-qalam dast-e-hunar hai ki nahin hai
arbab-e-mohabbat pe jo Dhaa.i hai qayamat
us sham-e-shab-e-gham ki sahar hai ki nahin hai
jis dar se nasim-e-sahari ghar men ho daḳhil
kashana-e-imkan men vo dar hai ki nahin hai
batil ka gala kaaT de jo haq ki madad se
ḳhun-e-rag-e-jan men vo asar hai ki nahin hai
jis daagh ki tarif hai dagh-e-gham-e-janan
vo daagh ba-me.ar-e-jigar hai ki nahin hai
vo zaḳhm-e-tamanna jo muqaddar hai ‘saba’ ka
us zaḳhm pe hikmat ki nazar hai ki nahin hai
Leave a Reply