koi bhi ḳhud ko badalta nazar nahin aata
azaab aa.ega Talta nazar nahin aata
zamin ko rok liya hai kashish ne suraj ki
ye din to raat men Dhalta nazar nahin aata
lage hai yuun ki uge hain daraḳht patthar ke
koi bhi phulta phalta nazar nahin aata
dhuan bhara hai makan men sulagte hain dar-o-bam
makin to aankh bhi malta nazar nahin aata
bapa hai jashn masiha-nafas ki aamad par
mariz hai ki sambhalta nazar nahin aata
ubharte hain hudi-ḳhvan pukarti hai jaras
magar ye qafila chalta nazar nahin aata
gire hai barq sar-e-tur-o-dasht-e-sina par
koi shajar kahin jalta nazar nahin aata
Leave a Reply