agar yaqin nahin aata to azmae mujhe
vo aaina hai to phir aaina dikhae mujhe
ajab charagh huun din raat jalta rahta huun
main thak gaya huun hava se kaho bujhae mujhe
main jis ki aankh ka aansu tha us ne qadr na ki
bikhar gaya huun to ab ret se uthae mujhe
bahut dinon se main in pattharon men patthar huun
koi to aae zara der ko rulae mujhe
main chahta huun ki tum hi mujhe ijazat do
tumhari tarah se koi gale lagae mujhe
Leave a Reply