lab-e-dariya jo pyase mar gae hain
junun ka naam raushan kar gae hain
husaini qafila jab yaad aaya
kaTore ansuon se bhar gae hain
jinhen suraj ne bhi dekha na hoga
vo nange paanv nange sar gae hain
vo kab ke ja base us paar lekin
kai yaden yahan bhi dhar gae hain
jinhen tha shauq mela dekhne ka
vo saare log apne ghar gae hain
hamare ahd ka ye alamiya hai
ujale tirgi se dar gae hain
tu un ko dhundhta phirta hai ‘hasrat’
jo duniya se kinara kar gae hain
Leave a Reply