kisi pe bar-e-digar bhi nigah kar na sake
koi bhi shauq ba-hadd-e-gunah kar na sake
ujaDD-pane men talab kar ga.e javaz-e-ḳhata
ḳhizar ke saath bhi ham to nibah kar na sake
dayar-e-hijr basaya hai jo ki barson men
dam-e-visal ki ḳhatir tabah kar na sake
amaan talab na hue dasht-e-be-panah men ham
savad-e-jan bhi magar harf-e-rah kar na sake
safar-ma.ab yahi bahr-o-bar hai phir bhi ham
paron ko apne kusha ḳhvah-maḳhvah kar na sake
Leave a Reply