• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghaflat Mein Kati Umr Na Hushyar Hue Hum

Ghaflat Mein Kati Umr Na Hushyar Hue Hum

poet

ghaflat men kati umr na hushyar hue ham

sote hi rahe aah na bedar hue ham

ye be-khabari dekh ki jab ham-safar apne

koson gae tab aah khabar-dar hue ham

sayyad hi se puchho ki ham ko nahin malum

kya janiye kis tarah giraftar hue ham

thi chashm ki tu rahm karega kabhu so haae

ghussa ke bhi tere na saza-var hue ham

aata hi na us kuche se tabut hamara

dafn akhir usi ke pas-e-divar hue ham

zakhm-e-kuhan apna hua nasur pe ‘rasikh’

marham ke kisu se na talabgar hue ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Kuchh Bhi Nahin Jo Yaad-e-Butan-e-Hasin Nahin

Dagh-E-Dil Hum Ko Yaad Aane Lage

aal-e-ahmad-suroor

Jis Ne Kiye Hain Phul Nichhawar Kabhi Kabhi

ajmal-siraj

Jo Ashk Barsa Rahe Hain Sahib

Jaise Kisi Se Wasl Ka Wada Wafa Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet