munfa.il tha tira jalva kya kya
ham ne samjha tira mansha kya kya
ek tha lafz-e-mohabbat jis se
mas.ale ho ga.e paida kya kya
tu hi ḳhud dekh ki tere liye kaam
mar gaya harf-e-tamanna kya kya
kaun jaane ki tujhe bin dekhe
tujh se milta hai sahara kya kya
jab na dekha unhen dekha hi nahin
jab bhi dekha unhen dekha kya kya
kis ko samjha.en ki us mahfil men
kaise hota hai taqaza kya kya
kis qadar saḳht maqam aa.e the
ham ne rakkha tira parda kya kya
ham jo divane nahin ho jaate
dekhte log tamasha kya kya
aaj tha raunaq-e-mahfil ‘ali’
tum na hote to vo paḌhta kya kya
Leave a Reply